Singardaan (TV Serial - Urdu / Hindi)
Star Cast
Star Cast
Ravi Yadav, Trishna, Shiju Kataria, Sadaam Ali Khan, Pappu Polyster, Rajan Modi, Roshan Khan.
Producer
Hindustan Media Communications / Nanak Films
Director
Ajay Mishra.
Written By
Farooque / Ajay / Tarun Mathur.
Music
-
 
Synopsis

Singardan jiske mayine hain, Aaina lagi huyee wo mez jisme Aurton ke singar ka saz o saman rakha jata hai. Har Aurat ki zindagi me singardan ki bohat badi ahmiyat hai….. chahe wo ladki ho biwi ho, maa ho singardan se sabka rishta juda hua hai…. ek aurat aur hai jise hamare muashre me… na biwi ka darja diya jata hai na beti ka… aur na maa ka…. wo aurat hai tawaif…. jee haan wo aurat hai magar tawaif ke naam se mansoob hai. Uske badnaseeb peshe ne uss se aurat ka haq cheen liya hai! Singardan aur tawaif do aise pahloon hain…. jinhen ek doosre se alag nahi kiya ja sakta… kyunki har sham tawaif ko usi kea age baithkar sanwarna hai! Aurat aur tawaif ke sanwarne me… bas ek thoda sa farak hai! Aurat apno ke liye Apni khushi se sajti hai magar tawaif apni majboori me doosron ke liye sajti hai… Hamesha doosron ki khushi k liye use singardan ke aage  baithna padta hai. Hamai kahani singardan ek tawaif ke ird gird ghoomti hai!

Roshani jo ek tawaif hai… jo hamesha singardan ke samne apni marzi ke khilaf baithkar sanwarti hai! singardan se uska itna gahra rishta hai ke aksar uss se baten karti hai.Wo singardan ke samne baithkar aksar sochti hai kya uski zindagi me kabhi aisa bhi din aayega jab use singardan ke samne doosron ke liye nahi kisi apne k liye sajna pade… lekin jab bhi us ki zindagi me kabhi aisa din aaya… use sirf dard aur mayusi ke siwa kuch nahi mila… aksar singardan me uski khushiyan chheen li. har shaks roshni ki awaz uske naach uske jism ka diwana hai. Lekin sachchi mohabbat karne wala koi nahi… Roshni ki zindagi me khushi ka wo lamha bhi ata hai… jab ek shaks Javed uski veeran zindagi me… tamam khushiyan sari baharen roshni ke daman me daal deta hai… wo mohabbat wo chahat ki jise Roshni apne aanchal me samet nahi sakti thi…. jiski aankhon me sachchai thi jiska pyar kisi Aabshar ke pani ki tarha saaf tha… Wo Javed, jise Roshni apni duniya apna sabkuch tasawwur kar leti hai. Use lagta hai ki uski zindagi sirf aur sirf Javed ki amanat hai, lekin kya guzarti hai uss waqt jab Roshni ko pata chalta hai Javed Shadi Shuda hai… Roshni uss do rahe par khadi thi jahan se wo na  aage badh sakti thi na  peechche hat sakti thi… Kya hai iss kahani ka anjam in sawalon ke jawab degi hamari “SINGARDAN”
 
   
Nanak Films© 2007 - 2024